Sawad-e-sham Se Darta Hua Nazar Aaya

sawad-e-sham se Darta hua nazar aaya

farogh-e-mehr bhi marta hua nazar aaya

nasim-e-subh chali aur fishaar-e-rang-o-bu

kahin qarar na karta hua nazar aaya

zamin pe rakh uDi jab bhi KHema-gahon ki

ufuq pe KHun bikharta hua nazar aaya

har ek phul dikhai diya kaman-ba-dast

har ek KHar nikharta hua nazar aaya

na nind aai na koi sitara-e-kam-KHwab

bulandiyon se utarta hua nazar aaya

kabhi kabhi to meri jalwa-gah-e-hairat mein

KHud aaina bhi sanwarta hua nazar aaya

charagh bujhne lage aur meri aankhon ko

badan mein koi utarta hua nazar aaya

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawad-e-sham Se Darta Hua Nazar Aaya In English By Famous Poet Bushra Zaidi. Sawad-e-sham Se Darta Hua Nazar Aaya is written by Bushra Zaidi. Read famous Poem Sawad-e-sham Se Darta Hua Nazar Aaya for youth and Student by Bushra Zaidi. Free Download Sawad-e-sham Se Darta Hua Nazar Aaya in PDF.