Dard-e-dil Pas-e-wafa Jazba-e-iman Hona
dard-e-dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona
aadmiyat hai yahi aur yahi insan hona
nau-giraftar-e-bala tarz-e-wafa kya jaanen
koi na-shad sikha de unhen nalan hona
roke duniya mein hai yun tark-e-hawas ki koshish
jis tarah apne hi sae se gurezan hona
zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona
daftar-e-husn pe mohr-e-yad-e-qudrat samjho
phul ka KHak ke tode se numayan hona
dil asiri mein bhi aazad hai aazadon ka
walwalon ke liye mumkin nahin zindan hona
gul ko pamal na kar lal-o-gohar ke malik
hai use turra-e-dastar-e-ghariban hona
hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se baDh kar
nang hai mere liye chaak-gareban hona
qaid yusuf ko zuleKHa ne kiya kuchh na kiya
dil-e-yusuf ke liye shart tha zindan hona
(1651) Peoples Rate This