Agar Dard-e-mohabbat Se Na Insan Aashna Hota

agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota

na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota

bahaar-e-gul mein diwanon ka sahra mein para hota

jidhar uThti nazar koson talak jangal hara hota

mai-e-gul-rang luTti yun dar-e-mai-KHana wa hota

na pine ki kami hoti na saqi se gila hota

hazaron jaan dete hain buton ki bewafai par

agar un mein se koi ba-wafa hota to kya hota

rulaya ahl-e-mahfil ko nigah-e-yas ne meri

qayamat thi jo ek qatra in aankhon se juda hota

KHuda ko bhul kar insan ke dil ka ye aalam hai

ye aaina agar surat-numa hota to kya hota

agar dam bhar bhi miT jati KHalish KHar-e-tamanna ki

dil-e-hasrat-talab ko apni hasti se gila hota

(1224) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Dard-e-mohabbat Se Na Insan Aashna Hota In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Agar Dard-e-mohabbat Se Na Insan Aashna Hota is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Agar Dard-e-mohabbat Se Na Insan Aashna Hota for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Agar Dard-e-mohabbat Se Na Insan Aashna Hota in PDF.