Kuchh Aisa Pas-e-ghairat UTh Gaya Is Ahd-e-pur-fan Mein

kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein

ki zewar ho gaya tauq-e-ghulami apni gardan mein

shajar sakte mein hain KHamosh hain bulbul nasheman mein

sidhaara qafila phulon ka sannaTa hai gulshan mein

garan thi dhup aur shabnam bhi jin paudon ko gulshan mein

teri qudrat se wo phule-phale sahra ke daman mein

hawa-e-taza dil ko KHud-baKHud bechain karti hai

qafas mein kah gaya koi bahaar aai hai gulshan mein

miTana tha use bhi jazba-e-shauq-e-fana tujh ko

nishan-e-qabr-e-majnun dagh hai sahra ke daman mein

zamana mein nahin ahl-e-hunar ka qadar-dan baqi

nahin to saikDon moti hain is dariya ke daman mein

yahan tasbih ka halqa wahan zunnar ka phanda

asiri lazmi hai mazhab-e-shaiKH-o-barahman mein

jinhen sincha tha KHun-e-dil se agle baghbanon ne

taraste ab hain pani ko wo paude mere gulshan mein

dikhaya moajiza husn-e-bashar ka dast-e-qudrat ne

bhari tasir taswir-e-gili ke rang-o-roghan mein

shahid-e-yas hun ruswa hun nakaami ke hathon se

jigar ka chaak baDh kar aa gaya hai mere daman mein

jahan mein rah ke yun qaem hun apni be-sabaati par

ki jaise aks-e-gul rahta hai aab-e-ju-e-gulshan mein

sharab-e-husn ko kuchh aur hi tasir deta hai

jawani ke numu se be-KHabar hona laDakpan mein

shabab aaya hai paida rang hai ruKHsar-e-nazuk se

farogh-e-husn kahta hai sahar hoti hai gulshan mein

nahin hota hai muhtaj-e-numaish faiz shabnam ka

andheri raat mein moti luTa jati hai gulshan mein

mata-e-dard-e-dil ek daulat-e-bedar hai mujh ko

dur-e-shahwar hain ashk-e-mohabbat mere daman mein

na batlai kisi ne bhi haqiqat raaz-e-hasti ki

buton se ja ke sar phoDa bahut dair-e-barahman mein

purani kawishen dair-o-haram ki miTti jati hai

nai tahzib ke jhagDe hain ab shaiKH-o-barahman mein

uDa kar le gai baad-e-KHizan is sal us ko bhi

raha tha ek barg-e-zard baqi mere gulshan mein

watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai

maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aisa Pas-e-ghairat UTh Gaya Is Ahd-e-pur-fan Mein In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Kuchh Aisa Pas-e-ghairat UTh Gaya Is Ahd-e-pur-fan Mein is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Kuchh Aisa Pas-e-ghairat UTh Gaya Is Ahd-e-pur-fan Mein for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Kuchh Aisa Pas-e-ghairat UTh Gaya Is Ahd-e-pur-fan Mein in PDF.