Meri Be-KHudi Hai Wo Be-KHudi Kahin KHudi Ka Wahm-o-guman Nahin

meri be-KHudi hai wo be-KHudi kahin KHudi ka wahm-o-guman nahin

ye surur-e-saghar-e-mai nahin ye KHumar-e-KHwab-e-giran nahin

jo zuhur-e-alam-e-zat hai ye faqat hujum-e-sifat hai

hai jahan ka aur wajud kya jo tilism-e-wahm-o-guman nahin

ye hayat aalam-e-KHwab hai na gunah hai na sawab hai

wahi kufr-o-din mein KHarab hai jise ilm-e-raaz-e-jahan nahin

na wo KHum mein baade ka josh hai na wo husn jalwa-farosh hai

na kisi ko raat ka hosh hai wo sahar ki shab ka guman nahin

wo zamin pe jin ka tha dabdaba ki buland arsh pe nam tha

unhen yun falak ne miTa diya ki mazar tak ka nishan nahin

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Be-KHudi Hai Wo Be-KHudi Kahin KHudi Ka Wahm-o-guman Nahin In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Meri Be-KHudi Hai Wo Be-KHudi Kahin KHudi Ka Wahm-o-guman Nahin is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Meri Be-KHudi Hai Wo Be-KHudi Kahin KHudi Ka Wahm-o-guman Nahin for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Meri Be-KHudi Hai Wo Be-KHudi Kahin KHudi Ka Wahm-o-guman Nahin in PDF.