Badan Ko Apni Bisat Tak To Pasarna Tha

badan ko apni bisat tak to pasarna tha

har ek shai ko lahu ke raste guzarna tha

jidhar fasilon ne us ko moDa ye muD gai hai

hawa ki maujon mein koi kaunda utarna tha

to kya sabab sat paniyon ko na pi sake hum

KHud apna Duba hua jazira ubhaarna tha

main apne andar simaT gaya ek lamha ban kar

kahin to apne janam ka manzar guzarna tha

tum aa gae kyun wajud ki ye baraat le kar

hamein to apni ragon mein shamshan utarna tha

yahan se kaT kar wo ja ke jangal mein so gai hain

usi bahane hawaon ko khel haarna tha

na brij TuTe na aankh jhapki na waqt bita

na jaane kya kuchh bisarna tha kya bisarna tha

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ko Apni Bisat Tak To Pasarna Tha In English By Famous Poet Chandra Parkash Shad. Badan Ko Apni Bisat Tak To Pasarna Tha is written by Chandra Parkash Shad. Read famous Poem Badan Ko Apni Bisat Tak To Pasarna Tha for youth and Student by Chandra Parkash Shad. Free Download Badan Ko Apni Bisat Tak To Pasarna Tha in PDF.