Sabhi Samton Ko Thukra Kar UDi Jae

sabhi samton ko Thukra kar uDi jae

kahan tak jaane gard-e-gum-rahi jae

bacha kar apne sae ko kahan rakhkhun

ki shab to har taraf ko phailti jae

koi diwar hai teri samaat bhi

ki jo aawaz aae lauTti jae

na pahron likh sakun main koi baat apni

ajab si gard kaghaz par jami jae

achanak TuT jae qasr-e-tanhai

koi aawaz khiDki kholti jae

suna hai main sadaon ka samundar hun

ye sannaTa kahin mujh ko na pi jae

wahan basne ki KHwahish munh take mera

imarat bante bante TuTti jae

ubharte jaen rangon ke khule manzar

magar be-fursati aaankhon ko si jae

yun hi khapte na jaen roz-o-shab mein hum

kabhi to baat be-mausam bhi ki jae

ye tum kis ke liye jalte ho goshon mein

chalo chhat par saDak tak raushni jae

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhi Samton Ko Thukra Kar UDi Jae In English By Famous Poet Chandra Parkash Shad. Sabhi Samton Ko Thukra Kar UDi Jae is written by Chandra Parkash Shad. Read famous Poem Sabhi Samton Ko Thukra Kar UDi Jae for youth and Student by Chandra Parkash Shad. Free Download Sabhi Samton Ko Thukra Kar UDi Jae in PDF.