Sar UTha Ke Mat Chaliye Aaj Ke Zamane Mein

sar uTha ke mat chaliye aaj ke zamane mein

jaan jati rahti hai hausla dikhane mein

kis se haq talab kije bewafa zamane mein

honTh sukh jate hain haal-e-dil sunane mein

hath ki lakiron se faisle nahin hote

azm ka bhi hissa hai zindagi banane mein

kho gae kahan mere eatibar ke rishte

kis ne bo diye kanTe phul se gharane mein

manzilon ki baaten to KHwab jaisi baaten hain

umr bit jati hai rasta banane mein

ai 'bashar' meri aankhen jugnuon ki aadi thin

kis ne bijliyan rakh din mere aashiyane mein

(1415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar UTha Ke Mat Chaliye Aaj Ke Zamane Mein In English By Famous Poet Charan Singh Bashar. Sar UTha Ke Mat Chaliye Aaj Ke Zamane Mein is written by Charan Singh Bashar. Read famous Poem Sar UTha Ke Mat Chaliye Aaj Ke Zamane Mein for youth and Student by Charan Singh Bashar. Free Download Sar UTha Ke Mat Chaliye Aaj Ke Zamane Mein in PDF.