Lakh Kuchh Na Hum Kahte Be-zaban Rahe Hote

lakh kuchh na hum kahte be-zaban rahe hote

aap to ba-har-surat bad-guman rahe hote

wo to rang le aai apne KHun ki garmi

warna sare qisse mein hum kahan rahe hote

raat ke bhanwar mein hain hum charagh ki surat

sath sath hote to kahkashan rahe hote

aaj ek haqiqat hain sar-faroshiyan apni

warna hum tabahi ki dastan rahe hote

dhup hai masail ki aur ek 'bashar' tanha

kash sar pe rishton ke saeban rahe hote

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Kuchh Na Hum Kahte Be-zaban Rahe Hote In English By Famous Poet Charan Singh Bashar. Lakh Kuchh Na Hum Kahte Be-zaban Rahe Hote is written by Charan Singh Bashar. Read famous Poem Lakh Kuchh Na Hum Kahte Be-zaban Rahe Hote for youth and Student by Charan Singh Bashar. Free Download Lakh Kuchh Na Hum Kahte Be-zaban Rahe Hote in PDF.