Faza-e-adamiyat Ko Sanwarne Hi Nahin Dete

faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete

siyasat-dan dilon ke zaKHm bharne hi nahin dete

zamana wo bhi tha jab hadse ka Dar satata tha

magar ab hadse logon ko Darne hi nahin dete

kuchh hum ne KHwab aise pal rakkhe hain ki jo hum ko

haqiqat ki zamin par panw rakhne hi nahin dete

ye mana ishq se banti hai jannat zindagi lekin

masail zindagi se ishq karne hi nahin dete

guzargahon ke aage manzilen aawaz deti hain

magar Thahre hue lamhe guzarne hi nahin dete

'bashar' be-rahm hain ye parbaton jaise usul apne

kisi ke dil ki wadi mein utarne hi nahin dete

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza-e-adamiyat Ko Sanwarne Hi Nahin Dete In English By Famous Poet Charan Singh Bashar. Faza-e-adamiyat Ko Sanwarne Hi Nahin Dete is written by Charan Singh Bashar. Read famous Poem Faza-e-adamiyat Ko Sanwarne Hi Nahin Dete for youth and Student by Charan Singh Bashar. Free Download Faza-e-adamiyat Ko Sanwarne Hi Nahin Dete in PDF.