Aql Hairan Hai Rahmat Ka Taqaza Kya Hai

aql hairan hai rahmat ka taqaza kya hai

dil ko taqsir ki targhib tamasha kya hai

unhen jab ghaur se dekha to na dekha un ko

maqsad us parde ka ek dida-e-bina kya hai

hum shahadat ka junun sar mein liye phirte hain

hum mujahid hain hamein maut ka khaTka kya hai

uDta phirta hun main sahra mein bagule ki tarah

kuchh nahin ilm mera malja-o-mawa kya hai

mera mansha hai ki duniya se kinara kar lun

ai gham-e-dost bata tera irada kya hai

baat pur-pech hansi lab pe shikan mathe par

dil samajhne se hai qasir ye muamma kya hai

jo teri zulf pe ja kar na khile phul wo kya

jo na uljhe tere daman se wo kanTa kya hai

ek khilta hua gulshan hai tumhaara paikar

tum tabassum hi tabassum ho tumhaara kya hai

main ne ek baat jo puchhi to bigaD kar bole

bad-gumani ke siwa aap ne sikha kya hai

wo faqiron ko nawazen na nawazen ai 'charKH'

hum dua de ke chale aaenge apna kya hai

(1263) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aql Hairan Hai Rahmat Ka Taqaza Kya Hai In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Aql Hairan Hai Rahmat Ka Taqaza Kya Hai is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Aql Hairan Hai Rahmat Ka Taqaza Kya Hai for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Aql Hairan Hai Rahmat Ka Taqaza Kya Hai in PDF.