Bazm-e-jaanan Mein Mohabbat Ka Asar Dekhenge

bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge

kis se milti hai nazar un ki nazar dekhenge

ab na palkon pe Tiko TuT ke barso ashko

un ka kahna hai ki hum dida-e-tar dekhenge

dhaDkano tez chalo Dubti nabzo ubhro

aaj wo bujhte charaghon ki sahar dekhenge

ai mere dil ke sulagte hue dagho bhaDko

hijr ki raat wo jalta hua ghar dekhenge

tere dar se hamein KHairaat mile ya na mile

hum tere dar ke siwa koi na dar dekhenge

mai-kade jumenge barsegi jawani ki sharab

wo chhalakti hui nazron se jidhar dekhenge

un ki nazron se hai wabasta zamane ki nazar

wo jidhar dekhenge sab log udhar dekhenge

aaj mazi ke fasane wo sunenge ai 'charKH'

meri barbaad umidon ke khanDar dekhenge

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-jaanan Mein Mohabbat Ka Asar Dekhenge In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Bazm-e-jaanan Mein Mohabbat Ka Asar Dekhenge is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Bazm-e-jaanan Mein Mohabbat Ka Asar Dekhenge for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Bazm-e-jaanan Mein Mohabbat Ka Asar Dekhenge in PDF.