Be-KHudi Mein Hai Na Wo Pi Kar Sambhal Jaane Mein Hai

be-KHudi mein hai na wo pi kar sambhal jaane mein hai

lutf pa-e-yar par jo laghzishen khane mein hai

tere wade teri yaaden tere naghme tere KHwab

husn se bharpur daulat mere kashane mein hai

saghar-o-mina mein lahraati hai har mauj-e-sharab

ek jawani ka talatum aaj maiKHane mein hai

bazm-e-duniya mein hain husn-o-ishq yun jalwa-numa

raushni hai shama mein to soz parwane mein hai

mai ki ek ek bund se tufan-e-masti hai ayan

kis ki mai-bar ankhDiyon ka aks paimane mein hai

nur ki barish abhi hone de thoDi der aur

ek zara si der hi to raat Dhal jaane mein hai

lakh fitrat ne dikhai barq ki chashmak-zani

us mein wo shoKHi kahan jo tere sharmane mein hai

jaan bhi dil bhi jigar bhi aarzu-e-wasl bhi

un ke pesh apna sabhi kuchh aaj nazrane mein hai

mai ubhar kar jam mein angDaiyan lene lagi

kaisa madd-o-jazr saqi tere maiKHane mein hai

'charKH' main na-ashna hun hijr ke mahaul se

wasl ka rangin pahlu mere afsane mein hai

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHudi Mein Hai Na Wo Pi Kar Sambhal Jaane Mein Hai In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Be-KHudi Mein Hai Na Wo Pi Kar Sambhal Jaane Mein Hai is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Be-KHudi Mein Hai Na Wo Pi Kar Sambhal Jaane Mein Hai for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Be-KHudi Mein Hai Na Wo Pi Kar Sambhal Jaane Mein Hai in PDF.