Faza Mein Kaif-fashan Phir Sahab Hai Saqi

faza mein kaif-fashan phir sahab hai saqi

phir apne rang pe daur-e-shabab hai saqi

ye talKH yaaden kam-az-kam bhula to deti hai

sharab kuchh bhi ho aaKHir sharab hai saqi

jo apni hasti ki masti miTa ke aata hai

tere huzur wahi baryab hai saqi

gham-e-firaq gham-e-zindagi gham-e-duniya

sharab sare ghamon ka jawab hai saqi

teri nigahon se maiKHane jam bharte hain

teri nigahon ka koi jawab hai saqi

ba-qaul-e-'charKH' yahan mastiyan ubharti hain

ye mai-kada to jahan-e-shabab hai saqi

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza Mein Kaif-fashan Phir Sahab Hai Saqi In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Faza Mein Kaif-fashan Phir Sahab Hai Saqi is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Faza Mein Kaif-fashan Phir Sahab Hai Saqi for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Faza Mein Kaif-fashan Phir Sahab Hai Saqi in PDF.