Jab Sar-e-baam Wo KHurshid-jamal Aata Hai

jab sar-e-baam wo KHurshid-jamal aata hai

zarre zarre pe qayamat ka jalal aata hai

phul muskate hain lahraati hai Tahni Tahni

fasl-e-gul aate hi har shai pe jamal aata hai

wo janam-din pe bulate hain hamesha mujh ko

har naya sal ba-andaz-e-visal aata hai

kyun tere honT mujhe dete hain manfi mein jawab

mere honTon pe ye rah rah ke sawal aata hai

jab sawali koi aa jata hai dar par to mujhe

us ki baKHshi hui neamat ka KHayal aata hai

un ke khilte hue joban ko wo murjha na saka

aane ko daur-e-KHizan sal-ba-sal aata hai

mujhe jachti hi nahin aur kisi ki surat

jab KHayal aata hai tera hi KHayal aata hai

tare ginwati hain phir hijr ki kali raaten

jab mujhe yaad koi zohra-jamal aata hai

yun ruKH-e-zard chamak uThta hai aane pe tere

jaise holi mein koi mal ke gulal aata hai

apne hathon ke pale log jo ho jaen KHilaf

un ke aKHlaq pe ai 'charKH' malal aata hai

(1957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Sar-e-baam Wo KHurshid-jamal Aata Hai In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Jab Sar-e-baam Wo KHurshid-jamal Aata Hai is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Jab Sar-e-baam Wo KHurshid-jamal Aata Hai for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Jab Sar-e-baam Wo KHurshid-jamal Aata Hai in PDF.