Dushman Jawaniyon Ki Ye Aashnaiyan Hain

dushman jawaniyon ki ye aashnaiyan hain

in aashnaiyon mein kya kya buraiyan hain

'hasrat' kaho ki kis se aankhen laDaiyan hain

honTon pe sard aahen munh pe hawaiyan hain

ya dil-sitaniyan thin aur mehrbaniyan thin

ya kaj-adaiyan hain ya bewafaiyan hain

qismat ki kya shikayat taqdir ka gila kya

jitni buraiyan hain dil ki buraiyan hain

(822) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dushman Jawaniyon Ki Ye Aashnaiyan Hain In English By Famous Poet Chiragh Hasan Hasrat. Dushman Jawaniyon Ki Ye Aashnaiyan Hain is written by Chiragh Hasan Hasrat. Read famous Poem Dushman Jawaniyon Ki Ye Aashnaiyan Hain for youth and Student by Chiragh Hasan Hasrat. Free Download Dushman Jawaniyon Ki Ye Aashnaiyan Hain in PDF.