Hum Ko ChheDa To Machal Jaenge Arman Ki Tarah

hum ko chheDa to machal jaenge arman ki tarah

hum pareshan hain teri zulf-e-pareshan ki tarah

har gali aai nazar kucha-e-jaanan ki tarah

hum ko duniya ye lagi shahr-e-nigaran ki tarah

kam na hogi ye KHalish dil ki kisi bhi surat

dil mein sau gham hain makin KHar-e-mughilan ki tarah

log ruk ruk ke chale jaanib-e-manzil lekin

hum rahe garm-e-safar gardish-e-dauran ki tarah

ab to har shaKHs pe hota hai guman qatil ka

koi milta hi nahin aadmi insan ki tarah

hum ne baKHshe hain andheron ko ujale lekin

hum hi be-nur rahe gor-e-ghariban ki tarah

hum 'kanwal' aap mein rahte hain magar us se alag

hum to gulshan mein bhi rahte hain bayaban ki tarah

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko ChheDa To Machal Jaenge Arman Ki Tarah In English By Famous Poet D. Raj Kanwal. Hum Ko ChheDa To Machal Jaenge Arman Ki Tarah is written by D. Raj Kanwal. Read famous Poem Hum Ko ChheDa To Machal Jaenge Arman Ki Tarah for youth and Student by D. Raj Kanwal. Free Download Hum Ko ChheDa To Machal Jaenge Arman Ki Tarah in PDF.