Duniya Patthar Phenk Rahi Hai Jhunjhla Kar Farzanon Par

duniya patthar phenk rahi hai jhunjhla kar farzanon par

ab wo kya ilzam dharegi hum jaise diwanon par

dil ki kaliyan afsurda si har chehra mayus magar

bagh mahakte dekh raha hun ghaTon par shamshanon par

patthar dil hain log yahan ke ye patthar kya pighlenge

kis ne barish hote dekhi tapte registanon par

jin ki ek nazar ke badle hum ne duniya Thukra di

nam hamara sun kar rakkhen hath wo apne kanon par

aahen aansu pesh kiye to ghabra ke munh pher liya

un ko shayad ghussa aaya mere in nazranon par

kya taqdir ka shikwa yaro apni apni qismat hai

apna hath gaya hai aksar TuTe se paimanon par

aaj 'kanwal' hum kuchh bhi kah len baat magar ye sachchi hai

aaj ka ek ek pal bhaari hai pichhle kai zabanon par

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Patthar Phenk Rahi Hai Jhunjhla Kar Farzanon Par In English By Famous Poet D. Raj Kanwal. Duniya Patthar Phenk Rahi Hai Jhunjhla Kar Farzanon Par is written by D. Raj Kanwal. Read famous Poem Duniya Patthar Phenk Rahi Hai Jhunjhla Kar Farzanon Par for youth and Student by D. Raj Kanwal. Free Download Duniya Patthar Phenk Rahi Hai Jhunjhla Kar Farzanon Par in PDF.