Khulti Hai Chandni Jahan Wo Koi Baam Aur Hai

khulti hai chandni jahan wo koi baam aur hai

dil ko jahan sukun mile wo to maqam aur hai

kahti hai ruh jism se shayad tujhe KHabar nahin

mera maqam tu nahin mera maqam aur hai

sahmi hui ye KHamushi honTon ki tere kapkapi

kahti hai saf nama-bar kuchh to payam aur hai

shikwa-e-be-ruKHi pe wo kahne lage ki dekhiye

nazron ki baat aur hai dil ka salam aur hai

pite rahe hain umr-bhar lekin wahi hai tishnagi

jis ka nasha hai jawedan wo koi jam aur hai

waqt-e-gunah der tak kahta hai mujh se dil mera

kar-e-hayat-e-ishq mein tera to kaam aur hai

har shai pe is jahan ki parda hai ek fareb ka

kahte hain sab 'kanwal' mujhe go mera nam aur hai

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khulti Hai Chandni Jahan Wo Koi Baam Aur Hai In English By Famous Poet D. Raj Kanwal. Khulti Hai Chandni Jahan Wo Koi Baam Aur Hai is written by D. Raj Kanwal. Read famous Poem Khulti Hai Chandni Jahan Wo Koi Baam Aur Hai for youth and Student by D. Raj Kanwal. Free Download Khulti Hai Chandni Jahan Wo Koi Baam Aur Hai in PDF.