Kisi Ne Ba-wafa Samjha Kisi Ne Bewafa Samjha

kisi ne ba-wafa samjha kisi ne bewafa samjha

mujhe ghairon ne kya samjha mujhe apnon ne kya samjha

gham-e-paiham hui sabit jise main ne baqa samjha

hayat-e-jawidan nikli jise main ne qaza samjha

ghalat samjha zamane mein tujhe dard-ashna samjha

meri nazron ka dhoka tha main patthar ko KHuda samjha

wafa ki rah mein khae hain aise bhi kabhi dhoke

wo zalim ibtida nikli jise main intiha samjha

use dil ka junun kahiye ki meri sadgi kahiye

main har ek rahguzar ko aaj us ka naqsh-e-pa samjha

bahut mumkin tha maujon se meri kashti nikal aati

magar wo rahzan nikla jise main naKHuda samjha

rah-e-ulfat mein aise bhi 'kanwal' aksar maqam aae

jahan har dil ki dhaDkan ko main apni hi sada samjha

(1149) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ne Ba-wafa Samjha Kisi Ne Bewafa Samjha In English By Famous Poet D. Raj Kanwal. Kisi Ne Ba-wafa Samjha Kisi Ne Bewafa Samjha is written by D. Raj Kanwal. Read famous Poem Kisi Ne Ba-wafa Samjha Kisi Ne Bewafa Samjha for youth and Student by D. Raj Kanwal. Free Download Kisi Ne Ba-wafa Samjha Kisi Ne Bewafa Samjha in PDF.