Log Jinko Aaj Tak Bar-e-garan Samjha Kiye

log jin ko aaj tak bar-e-garan samjha kiye

hum unhin lamhon ko umr-e-jawedan samjha kiye

maut ko hum zindagi ki tarjuman samjha kiye

qatra-e-dariya ko bahr-e-be-karan samjha kiye

go haqiqat hi haqiqat thi sarapa hum magar

zindagi ko dastan hi dastan samjha kiye

hasrat-e-sair-e-gulistan KHwab ban kar rah gai

wo qafas nikla jise hum aashiyan samjha kiye

han wahi ek shaKHs nikla be-murawwat bewafa

hum jise jaan-e-tamanna jaan-e-jaan samjha kiye

ho gae ek bar phir hum KHud-farebi ke shikar

wo zamin nikli jise hum aasman samjha kiye

hae wo niklin munazzam rahzanon ki Toliyan

aaj tak jin ko 'kanwal' hum karwan samjha kiye

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Jinko Aaj Tak Bar-e-garan Samjha Kiye In English By Famous Poet D. Raj Kanwal. Log Jinko Aaj Tak Bar-e-garan Samjha Kiye is written by D. Raj Kanwal. Read famous Poem Log Jinko Aaj Tak Bar-e-garan Samjha Kiye for youth and Student by D. Raj Kanwal. Free Download Log Jinko Aaj Tak Bar-e-garan Samjha Kiye in PDF.