Nazron Ke Gird Yun To Koi Daera Na Tha

nazron ke gird yun to koi daera na tha

apne siwae kuchh bhi magar sujhta na tha

sab khiDkiyan thin band koi dar khula na tha

jate kahan ki KHud se pare rasta na tha

kya jaane kis KHayal se chup ho ke rah gaya

aisa nahin ki gham mujhe pahchanta na tha

honTon ke pas aa na saka jam umr-bhar

haalanki fasla ye koi fasla na tha

wo jis ne zindagi ka meri ruKH badal diya

wo aap the huzur koi dusra na tha

puchhi kisi ne rah to chup ho ke rah gae

kahte bhi kya ki KHud hamein apna pata na tha

ab ke kuchh is tarah se bhi aai 'kanwal' bahaar

sare chaman mein ek bhi patta hara na tha

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazron Ke Gird Yun To Koi Daera Na Tha In English By Famous Poet D. Raj Kanwal. Nazron Ke Gird Yun To Koi Daera Na Tha is written by D. Raj Kanwal. Read famous Poem Nazron Ke Gird Yun To Koi Daera Na Tha for youth and Student by D. Raj Kanwal. Free Download Nazron Ke Gird Yun To Koi Daera Na Tha in PDF.