Yunhi Jalae Chalo Dosto Bharam Ke Charagh

yunhi jalae chalo dosto bharam ke charagh

ki rah na jaen kahin bujh ke ye alam ke charagh

har ek samt andhera hai hu ka aalam hai

jalao KHub jalao nadim jam ke charagh

jahan mein DhunDte phirte hain ab KHushi ki kiran

kaha tha kis ne jalao huzur gham ke charagh

wafa ka ek hi jhonka na sah sake zalim

teri tarah hi ye nikle teri qasam ke charagh

bujha diye hain wahin gardish-e-zamana ne

jalae jis ne jahan bhi kahin sitam ke charagh

unhin se milti rahi manzilon ki lau mujh ko

bahut hi kaam ke nikle rah-e-adam ke charagh

'kanwal' unhin se mile raushni kahin shayad

jala raha hun yahi soch kar qalam ke charagh

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi Jalae Chalo Dosto Bharam Ke Charagh In English By Famous Poet D. Raj Kanwal. Yunhi Jalae Chalo Dosto Bharam Ke Charagh is written by D. Raj Kanwal. Read famous Poem Yunhi Jalae Chalo Dosto Bharam Ke Charagh for youth and Student by D. Raj Kanwal. Free Download Yunhi Jalae Chalo Dosto Bharam Ke Charagh in PDF.