Bab-e-rahmat Pe Dua Girya-kunan Ho Jaise

bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise

gum-shuda beTe ki muztar koi man ho jaise

us ki mumtaz ki rudad-e-mohabbat likh dun

aise kahta hai koi shah-jahan ho jaise

guftugu mein wo halawat wo amal mein iKHlas

us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise

us ki duzdida-nigahi ke hain sab hi ghayal

koi sayyaad liye tir-o-kaman ho jaise

mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak

tujh ko ye zoam tere ghar ki zaban ho jaise

hum ko rakhti hai nishane pe siyasat un ki

ghar jalane pe ba-zid barq-e-tapan ho jaise

us ke aate hi sanam-KHanon ke but bol uThe

mashriqon mein koi ejaz-e-bayan ho jaise

yun teri zulf ki KHushbu hai sar-e-sham uDi

kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawan ho jaise

tere ashaar utar aate hain 'daem' dil mein

haq-paraston ke liye saut-e-azan ho jaise

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bab-e-rahmat Pe Dua Girya-kunan Ho Jaise In English By Famous Poet Daem Gawwasi. Bab-e-rahmat Pe Dua Girya-kunan Ho Jaise is written by Daem Gawwasi. Read famous Poem Bab-e-rahmat Pe Dua Girya-kunan Ho Jaise for youth and Student by Daem Gawwasi. Free Download Bab-e-rahmat Pe Dua Girya-kunan Ho Jaise in PDF.