Chehre Pe Nur-e-subh Siyah Gesuon Mein Raat

chehre pe nur-e-subh siyah gesuon mein raat

utri thi ek pari liye apne paron mein raat

din to shikam ki aag bujhane mein jae hai

shukr-e-KHuda ki kaTti hai danishwaron mein raat

thi wajh-e-KHwab kal yahi taskin-e-qalb bhi

hum ko to ab Darane lagi zalzalon mein raat

har sahab-e-kamal hai fan ke uruj par

qibla-numa rahi hai sabhi hadson mein raat

aankhon mein un ka husn tha sota main kis tarah

aai thi garche ghar mere kitne dinon mein raat

aawargi ki chhap wo aai thi chhoDne

sharminda ho ke lauT gai dil-jalon mein raat

kuchh der haw-hu ka tha manzar shabab par

din ki thaki thi so hi gai mandiron mein raat

hum the ki gharq-e-jam rahe mai-kashon ke bich

hum ko talash karti rahi aabidon mein raat

jugnu chamak rahe the ujale mein ishq ke

'daem' qayam karti kahan buz-dilon mein raat

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chehre Pe Nur-e-subh Siyah Gesuon Mein Raat In English By Famous Poet Daem Gawwasi. Chehre Pe Nur-e-subh Siyah Gesuon Mein Raat is written by Daem Gawwasi. Read famous Poem Chehre Pe Nur-e-subh Siyah Gesuon Mein Raat for youth and Student by Daem Gawwasi. Free Download Chehre Pe Nur-e-subh Siyah Gesuon Mein Raat in PDF.