Achchhi Surat Pe Ghazab TuT Ke Aana Dil Ka

achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka

yaad aata hai hamein hae zamana dil ka

tum bhi munh chum lo be-saKHta pyar aa jae

main sunaun jo kabhi dil se fasana dil ka

nigah-e-yar ne ki KHana-KHarabi aisi

na Thikana hai jigar ka na Thikana dil ka

puri mehndi bhi lagani nahin aati ab tak

kyunkar aaya tujhe ghairon se lagana dil ka

ghuncha-e-gul ko wo muTThi mein liye aate the

main ne puchha to kiya mujh se bahana dil ka

in hasinon ka laDakpan hi rahe ya allah

hosh aata hai to aata hai satana dil ka

de KHuda aur jagah sina o pahlu ke siwa

ki bure waqt mein ho jae Thikana dil ka

meri aaghosh se kya hi wo taDap kar nikle

un ka jaana tha ilahi ki ye jaana dil ka

nigah-e-sharm ko be-tab kiya kaam kiya

rang laya teri aaankhon mein samana dil ka

ungliyan tar-e-gareban mein ulajh jati hain

saKHt dushwar hai hathon se dabana dil ka

hur ki shakl ho tum nur ke putle ho tum

aur is par tumhein aata hai jalana dil ka

chhoD kar us ko teri bazm se kyunkar jaun

ek janaze ka uThana hai uThana dil ka

be-dili ka jo kaha haal to farmate hain

kar liya tu ne kahin aur Thikana dil ka

baad muddat ke ye ai 'dagh' samajh mein aaya

wahi dana hai kaha jis ne na mana dil ka

(1546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchhi Surat Pe Ghazab TuT Ke Aana Dil Ka In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Achchhi Surat Pe Ghazab TuT Ke Aana Dil Ka is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Achchhi Surat Pe Ghazab TuT Ke Aana Dil Ka for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Achchhi Surat Pe Ghazab TuT Ke Aana Dil Ka in PDF.