Ajab Apna Haal Hota Jo Visal-e-yar Hota

ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota

kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota

koi fitna ta-qayamat na phir aashkar hota

tere dil pe kash zalim mujhe iKHtiyar hota

jo tumhaari tarah tum se koi jhuTe wade karta

tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibar hota

gham-e-ishq mein maza tha jo use samajh ke khate

ye wo zahr hai ki aaKHir mai-e-KHush-gawar hota

ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti

na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota

na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein

koi ghair ghair hota koi yar yar hota

tere wade par sitamgar abhi aur sabr karte

agar apni zindagi ka hamein e'tibar hota

ye wo dard-e-dil nahin hai ki ho chaarasaz koi

agar ek bar miTta to hazar bar hota

gae hosh tere zahid jo wo chashm-e-mast dekhi

mujhe kya ulaT na dete jo na baada-KHwar hota

mujhe mante sab aisa ki adu bhi sajde karte

dar-e-yar kaba banta jo mera mazar hota

tumhein naz ho na kyunkar ki liya hai 'dagh' ka dil

ye raqam na hath lagti na ye iftiKHar hota

(2303) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Apna Haal Hota Jo Visal-e-yar Hota In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Ajab Apna Haal Hota Jo Visal-e-yar Hota is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Ajab Apna Haal Hota Jo Visal-e-yar Hota for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Ajab Apna Haal Hota Jo Visal-e-yar Hota in PDF.