Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahin

baat meri kabhi suni hi nahin

jaante wo buri bhali hi nahin

dil-lagi un ki dil-lagi hi nahin

ranj bhi hai faqat hansi hi nahin

lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid

hae kam-baKHt tu ne pi hi nahin

uD gai yun wafa zamane se

kabhi goya kisi mein thi hi nahin

jaan kya dun ki jaanta hun main

tum ne ye chiz le ke di hi nahin

hum to dushman ko dost kar lete

par karen kya teri KHushi hi nahin

hum teri aarzu pe jite hain

ye nahin hai to zindagi hi nahin

dil-lagi dil-lagi nahin naseh

tere dil ko abhi lagi hi nahin

'dagh' kyun tum ko bewafa kahta

wo shikayat ka aadmi hi nahin

(1305) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahin In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahin is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahin for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahin in PDF.