Dekh Kar Jauban Tera Kis Kis Ko Hairani Hui

dekh kar jauban tera kis kis ko hairani hui

is jawani par jawani aap diwani hui

parde parde mein mohabbat dushman-e-jaani hui

ye KHuda ki mar kya ai shauq-e-pinhani hui

dil ka sauda kar ke un se kya pashimani hui

qadr us ki phir kahan jis shai ki arzani hui

mere ghar us shoKH ki do din se mehmani hui

bekasi ki aaj kal kya KHana-virani hui

tark-e-rasm-o-rah par afsos hai donon taraf

hum se nadani hui ya tum se nadani hui

ibtida se intiha tak haal un se kah to dun

fikr ye hai aur jo kah kar pashimani hui

gham qayamat ka nahin waiz mujhe ye fikr hai

din kab baqi raha duniya agar fani hui

tum na shab ko aaoge ye hai yaqin aaya hua

tum na manoge meri ye baat hai mani hui

mujh mein dam jab tak raha mushkil mein the timardar

meri aasani se sab yaron ki aasani hui

is ko kya kahte hain utna hi baDha shauq-e-visal

jis qadar mashhur un ki pak-damani hui

bazm se uThne ki ghairat baiThne se dil ko rashk

dekh kar ghairon ka majma kya pareshani hui

dawa-e-tasKHir par ye us pari-wash ne kaha

aap ka dil kya hua mohr-e-slemani hui

khul gain zulfen magar us shoKH mast-e-naz ki

jhumti baad-e-saba phirti hai mastani hui

main sarapa sajde karta us ke dar par shauq se

sar se pa tak kyun na peshani hi peshani hui

dil ki qalb-e-mahiyat ka ho use kyunkar yaqin

kab hawa miTTi hui hai aag kab pani hui

aate hi kahte ho ab ghar jaenge achchhi kahi

ye misal puri yahan man-mani ghar jaani hui

arsa-e-mahshar mein tujh ko DhunD laun to sahi

koi chhup sakti hai jo surat ho pahchani hui

dekh kar qatil ka KHali hath bhi ji Dar gaya

us ki chin-e-astin bhi chin-e-peshani hui

kha ke dhoka us but-e-kamsin ne daman mein liye

ashk-afshani bhi meri gauhar-afshani hui

bekasi par meri apni tegh ki hasrat to dekh

chashm-e-jauhar bhi ba-shakl-e-chashm-e-hairani hui

bekasi par 'dagh' ki afsos aata hai hamein

kis jagah kis waqt us ki KHana-virani hui

(1322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Kar Jauban Tera Kis Kis Ko Hairani Hui In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Dekh Kar Jauban Tera Kis Kis Ko Hairani Hui is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Dekh Kar Jauban Tera Kis Kis Ko Hairani Hui for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Dekh Kar Jauban Tera Kis Kis Ko Hairani Hui in PDF.