Dil Chura Kar Nazar Churai Hai

dil chura kar nazar churai hai

luT gae luT gae duhai hai

ek din mil ke phir nahin milte

kis qayamat ki ye judai hai

ai asar kar na intizar-e-dua

mangna saKHt be-hayai hai

main yahan hun wahan hai dil mera

na-rasai ajab rasai hai

is tarah ahl-e-naz naz karen

bandagi hai ki ye KHudai hai

pani pi pi ke tauba karta hun

parsai si parsai hai

wada karne ka iKHtiyar raha

baat karne mein kya burai hai

kab nikalta hai ab jigar se tir

ye bhi kya teri aashnai hai

'dagh' un se dimagh karte hain

nahin malum kya samai hai

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Chura Kar Nazar Churai Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Dil Chura Kar Nazar Churai Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Dil Chura Kar Nazar Churai Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Dil Chura Kar Nazar Churai Hai in PDF.