Dil Pareshan Hua Jata Hai

dil pareshan hua jata hai

aur saman hua jata hai

KHidmat-e-pir-e-mughan kar zahid

tu ab insan hua jata hai

maut se pahle mujhe qatl karo

us ka ehsan hua jata hai

lazzat-e-ishq ilahi miT jae

dard arman hua jata hai

dam zara lo ki mera dam tum par

abhi qurban hua jata hai

girya kya zabt karun ai naseh

ashk paiman hua jata hai

bewafai se bhi rafta rafta

wo meri jaan hua jata hai

arsa-e-hashr mein wo aa pahunche

saf maidan hua jata hai

madad ai himmat-e-dushwar-pasand

kaam aasan hua jata hai

chhai jati hai ye wahshat kaisi

ghar bayaban hua jata hai

shikwa sun aankh mila kar zalim

kyun pashiman hua jata hai

aatish-e-shauq bujhi jati hai

KHak arman hua jata hai

uzr jaane mein na kar ai qasid

tu bhi nadan hua jata hai

muztarib kyun na hon arman dil mein

qaid mehman hua jata hai

'dagh' KHamosh na lag jae nazar

sher diwan hua jata hai

(1354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Pareshan Hua Jata Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Dil Pareshan Hua Jata Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Dil Pareshan Hua Jata Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Dil Pareshan Hua Jata Hai in PDF.