Dil-e-nakaam Ke Hain Kaam KHarab

dil-e-nakaam ke hain kaam KHarab

kar liya aashiqi mein nam KHarab

is KHarabaat ka yahi hai maza

ki rahe aadmi mudam KHarab

dekh kar jins-e-dil wo kahte hain

kyun kare koi apne dam KHarab

abr-e-tar se saba hi achchhi thi

meri miTTi hui tamam KHarab

wo bhi saqi mujhe nahin deta

wo jo TuTa paDa hai jam KHarab

kya mila hum ko zindagi ke siwa

wo bhi dushwar na-tamam KHarab

wah kya munh se phul jhaDte hain

KHub-ru ho ke ye kalam KHarab

chaal ki rahnuma-e-ishq ne bhi

wo dikhaya jo tha maqam KHarab

'dagh' hai bad-chalan to hone do

sau mein hota hai ek ghulam KHarab

(1376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-nakaam Ke Hain Kaam KHarab In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Dil-e-nakaam Ke Hain Kaam KHarab is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Dil-e-nakaam Ke Hain Kaam KHarab for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Dil-e-nakaam Ke Hain Kaam KHarab in PDF.