Ghair Ko Munh Laga Ke Dekh Liya

ghair ko munh laga ke dekh liya

jhuT sach aazma ke dekh liya

un ke ghar 'dagh' ja ke dekh liya

dil ke kahne mein aa ke dekh liya

kitni farhat-faza thi bu-e-wafa

us ne dil ko jala ke dekh liya

kabhi ghash mein raha shab-e-wada

kabhi gardan uTha ke dekh liya

jins-e-dil hai ye wo nahin sauda

har jagah se manga ke dekh liya

log kahte hain chup lagi hai tujhe

haal-e-dil bhi suna ke dekh liya

jao bhi kya karoge mehr-o-wafa

bar-ha aazma ke dekh liya

zaKHm-e-dil mein nahin hai qatra-e-KHun

KHub hum ne dikha ke dekh liya

idhar aaina hai udhar dil hai

jis ko chaha uTha ke dekh liya

un ko KHalwat-sara mein be-parda

saf maidan pa ke dekh liya

us ne subh-e-shab-e-visal mujhe

jate jate bhi aa ke dekh liya

tum ko hai wasl-e-ghair se inkar

aur jo hum ne aa ke dekh liya

'dagh' ne KHub aashiqi ka maza

jal ke dekha jala ke dekh liya

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair Ko Munh Laga Ke Dekh Liya In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Ghair Ko Munh Laga Ke Dekh Liya is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Ghair Ko Munh Laga Ke Dekh Liya for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Ghair Ko Munh Laga Ke Dekh Liya in PDF.