In Aankhon Ne Kya Kya Tamasha Na Dekha

in aankhon ne kya kya tamasha na dekha

haqiqat mein jo dekhna tha na dekha

tujhe dekh kar wo dui uTh gai hai

ki apna bhi sani na dekha na dekha

un aankhon ke qurban jaun jinhon ne

hazaron hijabon mein parwana dekha

na himmat na qismat na dil hai na aankhen

na DhunDa na paya na samjha na dekha

marizan-e-ulfat ki kya be-kasi hai

masiha ko bhi chaara-farma na dekha

bahut dard-mandon ko dekha hai tu ne

ye sina ye dil ye kaleja na dekha

wo kab dekh sakta hai us ki tajalli

jis insan ne apna jalwa na dekha

bahut shor sunte the is anjuman ka

yahan aa ke jo kuchh suna tha na dekha

safai hai bagh-e-mohabbat mein aisi

ki baad-e-saba ne bhi tinka na dekha

use dekh kar aur ko phir jo dekhe

koi dekhne wala aisa na dekha

wo tha jalwa-ara magar tu ne musa

na dekha na dekha na dekha na dekha

gaya karwan chhoD kar mujh ko tanha

zara mere aane ka rasta na dekha

kahan naqsh-e-awwal kahan naqsh-e-sani

KHuda ki KHudai mein tujh sa na dekha

teri yaad hai ya hai tera tasawwur

kabhi 'dagh' ko hum ne tanha na dekha

(4564) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Aankhon Ne Kya Kya Tamasha Na Dekha In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. In Aankhon Ne Kya Kya Tamasha Na Dekha is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem In Aankhon Ne Kya Kya Tamasha Na Dekha for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download In Aankhon Ne Kya Kya Tamasha Na Dekha in PDF.