Is Nahin Ka Koi Ilaj Nahin

is nahin ka koi ilaj nahin

roz kahte hain aap aaj nahin

kal jo tha aaj wo mizaj nahin

is talawwun ka kuchh ilaj nahin

aaina dekhte hi itrae

phir ye kya hai agar mizaj nahin

le ke dil rakh lo kaam aaega

go abhi tum ko ehtiyaj nahin

ho saken hum mizaj-dan kyunkar

hum ko milta tera mizaj nahin

chup lagi lal-e-jaan-faza ko tere

is masiha ka kuchh ilaj nahin

dil-e-be-muddaa KHuda ne diya

ab kisi shai ki ehtiyaj nahin

khoTe damon mein ye bhi kya Thahra

dirham-e-dagh ka riwaj nahin

be-niyazi ki shan kahti hai

bandagi ki kuchh ehtiyaj nahin

dil-lagi kijiye raqibon se

is tarah ka mera mizaj nahin

ishq hai padshah-e-alam-gir

garche zahir mein taKHt-o-taj nahin

dard-e-furqat ki go dawa hai visal

is ke qabil bhi har mizaj nahin

yas ne kya bujha diya dil ko

ki taDap kaisi iKHtilaj nahin

hum to sirat-pasand aashiq hain

KHub-ru kya jo KHush-mizaj nahin

hur se puchhta hun jannat mein

is jagah kya buton ka raj nahin

sabr bhi dil ko 'dagh' de lenge

abhi kuchh is ki ehtiyaj nahin

(1279) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Nahin Ka Koi Ilaj Nahin In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Is Nahin Ka Koi Ilaj Nahin is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Is Nahin Ka Koi Ilaj Nahin for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Is Nahin Ka Koi Ilaj Nahin in PDF.