Is Qadar Naz Hai Kyun Aapko Yaktai Ka

is qadar naz hai kyun aap ko yaktai ka

dusra nam hai wo bhi meri tanhai ka

kya chhupe raaz ilahi dil-e-shaidai ka

arsa-e-hashr to bazar hai ruswai ka

jaan le jaega aana shab-e-tanhai ka

kaun ab rokne wala hai meri aai ka

KHugar-e-ranj-o-bala hashr ke din kya KHush hon

ki wo mal aaj hua hai shab-e-tanhai ka

zinda hai nam shahadat ka usi ke dam se

tere kushte ne kiya kaam masihai ka

har gali kuche mein pamal use ho jaana

dil hai ya naqsh-e-qadam hai kisi harjai ka

is adab se tah-e-shamshir taDapna ai dil

ki guman teri tapish par ho shakebai ka

fitne bhi qaede se uThte hain jab uThte hain

kya saliqa hai tumhein anjuman-arai ka

wo ye kahte hain mera sabr paDega tujh par

ab mujhe ranj nahin apni shakebai ka

kya gharaz hai meri taqdir ko mujh se puchhe

aabru ka hai talabgar ki ruswai ka

wan shab-e-wada mali panw mein mehndi us ne

yan kaleja koi malta hai tamannai ka

raat bhar shama rahi hijr mein wo bhi KHamosh

multaji tha teri taswir se goyai ka

sar mera kaT ke dahliz par apni rakh do

shauq baqi hai abhi nasiya-farsai ka

yun na maqbul hua hoga kisi ka sajda

but ko arman raha meri jabin-sai ka

ho gaya partaw-e-ruKHsar se kuchh aur hi rang

main ne munh chum liya us ke tamashai ka

tham gae jam gae aankhon mein lahu ke qatre

KHun zahir hai mere sabr o shakebai ka

ban gaya dagh-e-jigar mehr-e-qayamat ai 'dagh'

par abhi rang wahi hai shab-e-tanhai ka

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Qadar Naz Hai Kyun Aapko Yaktai Ka In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Is Qadar Naz Hai Kyun Aapko Yaktai Ka is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Is Qadar Naz Hai Kyun Aapko Yaktai Ka for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Is Qadar Naz Hai Kyun Aapko Yaktai Ka in PDF.