Khulta Nahin Hai Raaz Hamare Bayan Se

khulta nahin hai raaz hamare bayan se

lete hain dil ka kaam hum apni zaban se

kya lazzat-e-visal ada ho bayan se

sab harf chipke jate hain meri zaban se

mashhur raaz-e-ishq hai kis ke bayan se

meri zaban se ki tumhaari zaban se

fitna bana zamin pe har zarra KHak ka

nikle hain bahr-e-sair wo jis dam makan se

us din se mujh ko nind na aai tamam umr

ek shab mili thi aankh tere pasban se

ye KHak mein milae to wo ho sitam-sharik

mujh ko zamin se lag unhen aasman se

lena sambhaalna ki mere hosh uD chale

aata hai koi mast qayamat ki shan se

mujh se nazar mila ke tum abru mein bal na do

sidha chalega tir na TeDhi kaman se

bazar-e-ishq mein hain bahut dil jagah jagah

dekhen wo mol lete hain kis ki dukan se

shorida-sar wo hun ki use sar se toD dun

gar sang-e-hadsa bhi gire aasman se

arzan kare faroKHt agar mai-farosh-e-ishq

lene lagen farishte bhi us ki dukan se

guzri hai aazmaish-e-mahr-o-wafa mein umr

fursat mujhe mili na kabhi imtihan se

dil bhi bacha jigar bhi bacha KHair ho gai

tir-e-nigah par hua darmiyan se

main tum ko nagawar hun dil mujh ko nagawar

tum mujh se tang aur hun main tang jaan se

han han tera raqib se be-shak hai rabt-zabt

rutba yaqin ka hai ziyaada guman se

mehr-o-wafa ka nam hai ab baat baat par

ye sun liya hai aap ne kis ki zaban se

kaisa khila hai phul jab aaya bahaar par

puchhe to koi lutf-e-jawani jawan se

danista aate-jaton se laDta hai raat din

phir ho paDi thi aaj tere pasban se

is KHub-ru ko bazm-e-hasinan mein dekhiye

karta hai aan-ban baDi aan-tan se

ai 'dagh' is ki KHair manata hai aadmi

koi aziz baDh ke nahin apni jaan se

(1283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khulta Nahin Hai Raaz Hamare Bayan Se In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Khulta Nahin Hai Raaz Hamare Bayan Se is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Khulta Nahin Hai Raaz Hamare Bayan Se for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Khulta Nahin Hai Raaz Hamare Bayan Se in PDF.