KHatir Se Ya Lihaz Se Main Man To Gaya

KHatir se ya lihaz se main man to gaya

jhuTi qasam se aap ka iman to gaya

dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin

ulTi shikayaten huin ehsan to gaya

Darta hun dekh kar dil-e-be-arzu ko main

sunsan ghar ye kyun na ho mehman to gaya

kya aae rahat aai jo kunj-e-mazar mein

wo walwala wo shauq wo arman to gaya

dekha hai but-kade mein jo ai shaiKH kuchh na puchh

iman ki to ye hai ki iman to gaya

ifsha-e-raaz-e-ishq mein go zillaten huin

lekin use jata to diya jaan to gaya

go nama-bar se KHush na hua par hazar shukr

mujh ko wo mere nam se pahchan to gaya

bazm-e-adu mein surat-e-parwana dil mera

go rashk se jala tere qurban to gaya

hosh o hawas o tab o tawan 'dagh' ja chuke

ab hum bhi jaane wale hain saman to gaya

(1450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatir Se Ya Lihaz Se Main Man To Gaya In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. KHatir Se Ya Lihaz Se Main Man To Gaya is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem KHatir Se Ya Lihaz Se Main Man To Gaya for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download KHatir Se Ya Lihaz Se Main Man To Gaya in PDF.