Kaun Sa Tair-e-gum-gashta Use Yaad Aaya

kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya

dekhta bhaalta har shaKH ko sayyaad aaya

mere qabu mein na pahron dil-e-nashad aaya

wo mera bhulne wala jo mujhe yaad aaya

koi bhula hua andaz-e-sitam yaad aaya

ki tabassum tujhe zalim dam-e-be-dad aaya

lae hain log janaze ki tarah mahshar mein

kis musibat se tera kushta-e-bedad aaya

jazb-e-wahshat tere qurban tera kya kahna

khinch ke rag rag mein mere nashtar-e-fassad aaya

us ke jalwe ko gharaz kaun-o-makan se kya tha

dad lene ke liye husn-e-KHuda-dad aaya

bastiyon se yahi aawaz chali aati hai

jo kiya tu ne wo aage tere farhad aaya

dil-e-viran se raqibon ne muraden pain

kaam kis kis ke mera KHirman-e-barbaad aaya

ishq ke aate hi munh par mere phuli hai basant

ho gaya zard ye shagird jab ustad aaya

ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna

jab mere hath koi KHama-e-faulad aaya

id hai qatl mera ahl-e-tamasha ke liye

sab gale milne lage jab ki wo jallad aaya

chain karte hain wahan ranj uThane wale

kaam uqba mein hamara dil-e-nashad aaya

di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat

hae kam-baKHt ko kis waqt KHuda yaad aaya

mere nale ne sunai hai khari kis kis ko

munh farishton pe ye gustaKH ye aazad aaya

gham-e-jawed ne di mujh ko mubarakbaadi

jab suna ye ki unhen shewa-e-bedad aaya

main tamanna-e-shahadat ka maza bhul gaya

aaj is shauq se arman se jallad aaya

shadiyana jo diya nala o shewan ne diya

jab mulaqat ko nashad ki nashad aaya

lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se

aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya

aap ki bazm mein sab kuchh hai magar 'dagh' nahin

hum ko wo KHana-KHarab aaj bahut yaad aaya

(1470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Sa Tair-e-gum-gashta Use Yaad Aaya In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Kaun Sa Tair-e-gum-gashta Use Yaad Aaya is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Kaun Sa Tair-e-gum-gashta Use Yaad Aaya for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Kaun Sa Tair-e-gum-gashta Use Yaad Aaya in PDF.