Le Chala Jaan Meri RuTh Ke Jaana Tera

le chala jaan meri ruTh ke jaana tera

aise aane se to behtar tha na aana tera

apne dil ko bhi bataun na Thikana tera

sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera

tu jo ai zulf pareshan raha karti hai

kis ke ujDe hue dil mein hai Thikana tera

aarzu hi na rahi subh-e-watan ki mujh ko

sham-e-ghurbat hai ajab waqt suhana tera

ye samajh kar tujhe ai maut laga rakkha hai

kaam aata hai bure waqt mein aana tera

ai dil-e-shefta mein aag lagane wale

rang laya hai ye lakhe ka jamana tera

tu KHuda to nahin ai naseh-e-nadan mera

kya KHata ki jo kaha main ne na mana tera

ranj kya wasl-e-adu ka jo talluq hi nahin

mujh ko wallah hansata hai rulana tera

kaba o dair mein ya chashm-o-dil-e-ashiq mein

inhin do-chaar gharon mein hai Thikana tera

tark-e-adat se mujhe nind nahin aane ki

kahin nicha na ho ai gor sirhana tera

main jo kahta hun uThae hain bahut ranj-e-firaq

wo ye kahte hain baDa dil hai tawana tera

bazm-e-dushman se tujhe kaun uTha sakta hai

ek qayamat ka uThana hai uThana tera

apni aankhon mein abhi kaund gai bijli si

hum na samjhe ki ye aana hai ki jaana tera

yun to kya aaega tu fart-e-nazakat se yahan

saKHt dushwar hai dhoke mein bhi aana tera

'dagh' ko yun wo miTate hain ye farmate hain

tu badal Dal hua nam purana tera

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Le Chala Jaan Meri RuTh Ke Jaana Tera In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Le Chala Jaan Meri RuTh Ke Jaana Tera is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Le Chala Jaan Meri RuTh Ke Jaana Tera for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Le Chala Jaan Meri RuTh Ke Jaana Tera in PDF.