Kya Tarz-e-kalam Ho Gai Hai

kya tarz-e-kalam ho gai hai

har baat payam ho gai hai

kuchh zahr na thi sharab-e-angur

kya chiz haram ho gai hai

aage to nahin nahin suni thi

ab takiya-kalam ho gai hai

jate jate payam-bar ko

har subh se sham ho gai hai

ab dekhiye mashq-e-paemali

tarif-e-KHiram ho gai hai

pahunche hain jab us ki bazm mein hum

majlis hi tamam ho gai hai

aalam ko hai dawa-e-mohabbat

ye KHas bhi aam ho gai hai

us but ke hamin nahin hain bande

maKHluq ghulam ho gai hai

barbaad na hogi teri ulfat

tajwiz maqam ho gai hai

jagir junun ki qais ke baad

ab 'dagh' ke nam ho gai hai

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Tarz-e-kalam Ho Gai Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Kya Tarz-e-kalam Ho Gai Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Kya Tarz-e-kalam Ho Gai Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Kya Tarz-e-kalam Ho Gai Hai in PDF.