Mujhe Ai Ahl-e-kaba Yaad Kya Mai-KHana Aata Hai

mujhe ai ahl-e-kaba yaad kya mai-KHana aata hai

udhar diwana jata hai idhar mastana aata hai

meri mizhgan se aansu pochhta hai kis liye naseh

Tapak paDta hai KHud jo is shajar mein dana aata hai

ye aamad hai ki aafat hai nigah kuchh hai ada kuchh hai

ilahi KHair mujh se aashna begana aata hai

dam-e-taqrir nale halq mein chhuriyan chubhote hain

zaban tak TukDe ho ho kar mera afsana aata hai

ruKH-e-raushan ke aage shama rakh kar wo ye kahte hain

udhar jata hai dekhen ya idhar parwana aata hai

jigar tak aate aate sau jagah girta hua aaya

tera tir-e-nazar aata hai ya mastana aata hai

wahi jhagDa hai furqat ka wahi qissa hai ulfat ka

tujhe ai 'dagh' koi aur bhi afsana aata hai

(1059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Ai Ahl-e-kaba Yaad Kya Mai-KHana Aata Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Mujhe Ai Ahl-e-kaba Yaad Kya Mai-KHana Aata Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Mujhe Ai Ahl-e-kaba Yaad Kya Mai-KHana Aata Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Mujhe Ai Ahl-e-kaba Yaad Kya Mai-KHana Aata Hai in PDF.