Mujh Sa Na De Zamane Ko Parwardigar Dil

mujh sa na de zamane ko parwardigar dil

aashufta dil farefta dil be-qarar dil

har bar mangti hain naya chashm-e-yar dil

ek dil ke kis tarah se banaun hazar dil

mashhur ho gai hai ziyarat shahid ki

KHun-kushta aarzu ka bana hai mazar dil

ye said-gah-e-ishq hai Thahraiye nigah

sayyaad-e-muztarib se na hoga shikar dil

tufan-e-nuh bhi ho to mil jae KHak mein

allah re ghubar tera pur ghubar dil

puchha jo us ne talib-e-roz-e-jaza hai kaun

nikla meri zaban se be-iKHtiyar dil

karte ho ahd-e-wasl to itna rahe KHayal

paiman se ziyaada hai na-paedar dil

tasir-e-ishq ye hai tere ahd-e-husn mein

miTTi ka bhi banaen to ho be-qarar dil

us ki talash hai ki nazar aae aarzu

zalim ne roz chaak kiye hain hazar dil

aalam hua tamam raha us ko shauq-e-hur

barsae aasman se parwardigar dil

pahle-pahal ki chah ka kije na imtihan

aana to sikh le abhi do-chaar bar dil

nikle meri baghal se wo aise taDap ke sath

yaad aa gaya mujhe wahin be-iKHtiyar dil

ai andalib tujh ko lage kab hawa-e-ishq

kaliyon ki tarah tujh mein na phuTe hazar dil

aashiq hue wo jaise adu par ye haal hai

rakh kah ke hath dekhte hain bar bar dil

us ne kaha hai sabr paDega raqib ka

le aur be-qarar hua be-qarar dil

betab ho ke bazm se us ki uTha diya

ghafil main hun magar hai bahut hoshyar dil

mashhur hain sikandar o jam ki nishaniyan

ai 'dagh' chhoD jaenge hum yaadgar dil

(1698) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Sa Na De Zamane Ko Parwardigar Dil In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Mujh Sa Na De Zamane Ko Parwardigar Dil is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Mujh Sa Na De Zamane Ko Parwardigar Dil for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Mujh Sa Na De Zamane Ko Parwardigar Dil in PDF.