Mohabbat Mein Aaram Sab Chahte Hain

mohabbat mein aaram sab chahte hain

magar hazrat-e-'dagh' kab chahte hain

KHata kya hai un ki jo us but ko chaha

KHuda chahta hai to sab chahte hain

wahi un ka matlub o mahbub Thahra

baja hai jo us ki talab chahte hain

magar aalam-e-yas mein tang aa kar

ye saman-e-afat ajab chahte hain

ajal ki dua har ghaDi mangte hain

gham-o-dard-o-ranj-o-tab chahte hain

na tafrih-e-asaish-e-dil ki KHwahish

na saman-e-aish-o-tarab chahte hain

qayamat bapa ho nuzul-e-bala ho

yahi aaj-kal roz o shab chahte hain

na mashuq-e-farKHar se un ko matlab

na ye jam-e-bintul-inab chahte hain

na jannat ki hasrat na huron ki parwa

na koi KHushi ka sabab chahte hain

nirali tamanna hai ahl-e-karam se

sitam chahte hain ghazab chahte hain

na ho koi aagah raaz-e-nihan se

KHamoshi ko ye mohr-e-lab chahte hain

KHuda un ki chahat se mahfuz rakkhe

ye aazar bhi muntaKHab chahte hain

gham-e-ishq mein 'dagh' majbur ho kar

kabhi jo na chaha wo ab chahte hain

(1222) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Mein Aaram Sab Chahte Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Mohabbat Mein Aaram Sab Chahte Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Mohabbat Mein Aaram Sab Chahte Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Mohabbat Mein Aaram Sab Chahte Hain in PDF.