Mohabbat Ka Asar Jata Kahan Hai
mohabbat ka asar jata kahan hai
hamara dard-e-sar jata kahan hai
dil-e-betab sine se nikal kar
chala hai tu kidhar jata kahan hai
adam kahte hain us kuche ko ai dil
idhar aa be-KHabar jata kahan hai
kahun kis munh se main tere dahan hai
jo hota to kidhar jata kahan hai
tere jate hi mar jaunga zalim
mujhe tu chhoD kar jata kahan hai
hamare hath se daman bacha kar
are bedad-gar jata kahan hai
teri chori hi sab meri nazar mein
chura kar tu nazar jata kahan hai
agarche pa-shikasta hum hain ai 'dagh'
magar qasd-e-safar jata kahan hai
(1049) Peoples Rate This