Minnaton Se Bhi Na Wo Hur-shamail Aaya

minnaton se bhi na wo hur-shamail aaya

kis jagah aankh laDi hae kahan dil aaya

hum na kahte the na kar ishq pashiman hoga

jo kiya tu ne wo aage tere ai dil aaya

qahqahe qulqul-e-mina ne lagae kya kya

mujh ko masti mein jo rona sar-e-mahfil aaya

qatl ki sun ke KHabar id manai main ne

aaj jis se mujhe milna tha gale mil aaya

ta dam-e-marg na ho wo mere dushman ko nasib

jo maza mujh ko ilahi dam-e-bismil aaya

marqad-e-qais par ab tak bhi to KHar-e-sahra

ungliyon se ye batate hain wo mahmil aaya

ganj-e-qarun ke siwa bhi hai adam mein sab kuchh

hae duniya mein na is mulk ka hasil aaya

jis ne kuchh hosh sambhaala wo jawan qatl hua

ahd-e-piri na tere ahd mein qatil aaya

din o duniya se gaya to ye samajh le ai 'dagh'

ghazab aaya agar us but pe tera dil aaya

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Minnaton Se Bhi Na Wo Hur-shamail Aaya In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Minnaton Se Bhi Na Wo Hur-shamail Aaya is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Minnaton Se Bhi Na Wo Hur-shamail Aaya for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Minnaton Se Bhi Na Wo Hur-shamail Aaya in PDF.