Na-rawa Kahiye Na-saza Kahiye

na-rawa kahiye na-saza kahiye

kahiye kahiye mujhe bura kahiye

tujh ko bad-ahd o bewafa kahiye

aise jhuTe ko aur kya kahiye

dard dil ka na kahiye ya kahiye

jab wo puchhe mizaj kya kahiye

phir na rukiye jo muddaa kahiye

ek ke baad dusra kahiye

aap ab mera munh na khulwaen

ye na kahiye ki muddaa kahiye

wo mujhe qatl kar ke kahte hain

manta hi na tha ye kya kahiye

dil mein rakhne ki baat hai gham-e-ishq

is ko hargiz na barmala kahiye

tujh ko achchha kaha hai kis kis ne

kahne walon ko aur kya kahiye

wo bhi sun lenge ye kabhi na kabhi

haal-e-dil sab se ja-ba-ja kahiye

mujh ko kahiye bura na ghair ke sath

jo ho kahna juda juda kahiye

intiha ishq ki KHuda jaane

dam-e-aKHir ko ibtida kahiye

mere matlab se kya gharaz matlab

aap apna to muddaa kahiye

aisi kashti ka Dubna achchha

ki jo dushman ko naKHuda kahiye

sabr furqat mein aa hi jata hai

par use der-ashna kahiye

aa gai aap ko masihai

marne walon ko marhaba kahiye

aap ka KHair-KHwah mere siwa

hai koi aur dusra kahiye

hath rakh kar wo apne kanon par

mujh se kahte hain majra kahiye

hosh jate rahe raqibon ke

'dagh' ko aur ba-wafa kahiye

(14782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na-rawa Kahiye Na-saza Kahiye In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Na-rawa Kahiye Na-saza Kahiye is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Na-rawa Kahiye Na-saza Kahiye for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Na-rawa Kahiye Na-saza Kahiye in PDF.