Nigah-e-shoKH Jab Us Se LaDi Hai

nigah-e-shoKH jab us se laDi hai

to bijli tharthara kar gir paDi hai

use bhi mujh ko bhi zid aa paDi hai

KHarabi bich walon ki baDi hai

qayamat mein qayamat kar gaya kaun

ki dil thame saf-e-mehshar khaDi hai

karen kya rind tauba mai se zahid

ki ye to un ki ghuTTi mein paDi hai

qadam jamta nahin teri gali mein

kisi betab ki mayyat gaDi hai

adu bhi tang hai un ke sitam se

use apni mujhe apni paDi hai

abhi main ne kiya tha yaad us ko

wo aaya umr qasid ki baDi hai

bana hai muddai paigham-bar bhi

jaDi hai jab meri khuTi jaDi hai

kiya hai main ne zabt-e-ah jis dam

ani barchhi ki sine mein gaDi hai

gul-e-bistar sitare ban gae hain

tere mathe se jab afshan jhaDi hai

ye kahta hai mera shauq-e-shahadat

teri talwar phulon ki chhaDi hai

wo ruThen ghair se to hum manaen

parai aafat apne sar paDi hai

tujhe deta hun apni jaan bhi main

mere dil se meri himmat baDi hai

Talen wo kab jo dil lene pe aD jaen

ye kya kuchh khel chausar ki aDi hai

ilahi kab sahar hogi shab-e-hijr

qayamat ki ghaDi hai jo ghaDi hai

bigaD kar hum ne sau ilzam pae

ab un ki har tarah se ban paDi hai

ghazal ek aur bhi ai 'dagh' likkho

tabiat is zamin mein kuchh laDi hai

(1292) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-shoKH Jab Us Se LaDi Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Nigah-e-shoKH Jab Us Se LaDi Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Nigah-e-shoKH Jab Us Se LaDi Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Nigah-e-shoKH Jab Us Se LaDi Hai in PDF.