Payami Kaamyab Aae Na Aae

payami kaamyab aae na aae

KHuda jaane jawab aae na aae

tere ghamzon ko apne kaam se kaam

kisi ke dil ko tab aae na aae

use sharmaenge zikr-e-adu par

ye qismat hai hijab aae na aae

tum aao jab sawar-e-tausan-e-naz

qayamat ham-rikab aae na aae

shumar apni KHataon ka bata dun

tumhein shayad hisab aae na aae

nae KHanjar se mujh ko zabh kije

phir aisi aab-o-tab aae na aae

shab-e-wasl-e-adu teri bala se

kisi muztar ko KHwab aae na aae

piyunga aaj saqi ser ho kar

mayassar phir sharab aae na aae

ye ja kar puchh aa tu un se darban

ki wo KHana-KHarab aae na aae

na dekho 'dagh' ka diwan dekho

samajh mein ye kitab aae na aae

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Payami Kaamyab Aae Na Aae In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Payami Kaamyab Aae Na Aae is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Payami Kaamyab Aae Na Aae for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Payami Kaamyab Aae Na Aae in PDF.