Phir Shab-e-gham Ne Mujhe Shakl Dikhai Kyunkar

phir shab-e-gham ne mujhe shakl dikhai kyunkar

ye bala ghar se nikali hui aai kyunkar

kaT sake saKHti-e-ayyam-e-judai kyunkar

ghair ko aae ilahi meri aai kyunkar

tu ne ki ghair se kal meri burai kyunkar

gar na thi dil mein to lab par tere aai kyunkar

na kahunga na kahunga na kahunga hargiz

ja ke us bazm mein shamat meri aai kyunkar

khul gai baat jab un ki to wo puchhte hain

munh se nikli hui hoti hai parai kyunkar

dad-KHwahon se wo kahte hain ki hum bhi to sunen

doge tum hashr mein sab mil ke duhai kyunkar

tum dil-azar o sitamgar nahin main ne mana

man jaegi ise sari KHudai kyunkar

na-gahan shikwa-e-bedad to kar baiThe hum

ab ye hai fikr karen un se safai kyunkar

aap mein bhi to rahi aatish-e-tar ki tezi

aag pani mein ye saqi ne lagai kyunkar

allah allah buton ko hai ye dast-e-qudrat

un ki muTThi mein rahi sari KHudai kyunkar

wo yahan aaen wahan ghair ka ghar ho barbaad

is tarah se ho safai mein safai kyunkar

majlis-e-waz ko dekha to kaha rindon ne

hogi is bhiD ki jannat mein samai kyunkar

aaina dekh kar wo kahne lage aap hi aap

aise achchhon ki kare koi burai kyunkar

kasrat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzam mila

itne se dil mein hai itnon ki samai kyunkar

us ne sadqe mein kiye aaj hazaron aazad

dekhiye hoti hai aashiq ki rihai kyunkar

'dagh' ko mehr kaha ashk ko dariya hum ne

aur phir karte hain chhoTon ki baDai kyunkar

'dagh' kal to dua aap ki maqbul na thi

aaj munh-mangi murad aap ne pai kyunkar

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Shab-e-gham Ne Mujhe Shakl Dikhai Kyunkar In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Phir Shab-e-gham Ne Mujhe Shakl Dikhai Kyunkar is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Phir Shab-e-gham Ne Mujhe Shakl Dikhai Kyunkar for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Phir Shab-e-gham Ne Mujhe Shakl Dikhai Kyunkar in PDF.